Tuesday, 17 December 2013

Sabko maloom hai main sharabi nahin Phir bhi koi pilaye to main kya karoon Sirf ik baar nazron se nazren milen Aur kasam toot jaye to main kya karoon... Mujho maikash samajhte hain sub badakash Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai Jo samajh mein na aaye to main kya karoon Haal sunkar mera sehme sehme hain vo Koi aaya hai zulfen bikhere hue Maut aur zindagi dono hairaan hain Dum nikelne na paaye to main kya karoon Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin Tumko peena na aaye to main kya karoon

Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon

Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon...

Mujho maikash samajhte hain sub badakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main

Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaye to main kya karoon

Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue

Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah

Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon

No comments:

Post a Comment